Domain Authority kya hai? DA Ki Puri Jankari Hindi Mein
Agar aap janna chahte hain ki What is Domain Authority in hindi, Domain Authority kya hai tu ja article ko padhte rahiye. Sabhi website ko banane wale din raat koshish karte hain ki kaise unka website internet ke duniya mein logon ke samne aaye aur apni alag pehchan banaye. Bahut se tarike apnakar bloggers dheere dheere aage badhte rehte hain unka bas ek hi lakshya hota hai ki apne website ko google ke page mein sabse upar apni jagah banaye. Aise to internet par bahut se websites maujud hai lekin unme se kuch hi jyada mashhur hote hain.
Jitne bhi blogger hote hain unhe sco ke bare main aur usse jude terms ke bare mein main bhi pata hota hai hi jaise ki backlink, googlepagerank aur bhi annaya jiska istemal kar wo apni website kosar engine par acchi rank par la sakta hai jis se unke site par traffic hoga aur waaris kajari achha income karega. Asi se judi saare hi terms site ko achha rank dilane ke liye bahut hi important hai aur unse ek Domain Authority jis ke bare mein bahut kam logo ko pata aur yah bhi blog ke liye bahut jaruri hai agar iske upar dhyan nahin denge tu Google ke page par aapke site ki position par bahut hi gahara asar padega.
Tu chaliye aaj main aapko esse ke bare mein bataunga ki Domain Authority kya hai apne blog ka da kaise check karen aur apneDA improvement kaise karen.
Domain Authority Kya Hai ?
Domain Authority jisko hum short-term mein DA kehte hain, metric hai jisse moj company ne banaya hai jiska uddeshya website ko 1-100 ke andar rating dena, dc ka ek bahut hi mahatvapurna factor hai jo website ko darshata hai ki vah search engine par kitne acche rank par hai. Aur aapke website ka Domain Authority jitna jyada hoga utni hi jyada uska ranking search engine mein hoga aur utna hi jyada strong traffic aapke site ko milega.
Alag alag website ka da alag hota hai. Jisne apna blog naya naya shuru kiya hai uska kuch 3 mahine ke bad 10-20 ke andar rehta hai. Aap ka domain jitna purana hota jayega uska da bahut jyada ho jayega. Jitna jyada da hoga utni hi jyada traffic main munafa milega. Yahan par sawal ja uth raha hai ki hum apne blog ke da ka pata kaise laga sakte hain. Toh chaliye iske bare mein bhi jaan lete hain.
Domain Authority ko check kaise karen
Bohut sare tools internet par maujood hai jiska istemal kar apne website ka Domain Authoritykitna hai ya jaan sakte hain. Lekin hum sab se behtar Domain Authority checker tool ka istemal karenge aur moz open site explorer ek bahut hi badiya tu hai jahan aap aapke website ka domain address jab likh lenge to yeah tool aapka latest da score aapko dekha dega.
Ya kisi ko bhi nahi pata ki ek website ka Domain Authorityka rank kis bases par diya jata hai. Ya sirf Moz company ko hi pata hai jisne is ka aviskar kiya hai. Moz system ek particular domain ko ranking dene ke liye 40 alag alag factor ko check karte hain jaise ki aapka domain kitna purana hai, aap ke site mein kitne link jude hue hain, kitne high da wali website se aapko link mil raha hai aur bhi ananya aise hi karke 40 factor ko moz team rank dene ke liye check karta hai.
Ek website ka da kabhi bhi constant nahin rehta hai ya toh badhta hai ya fir ghatta hai. Agar apke website ka da badh raha hai tu yeh aapke liye kafi faydemand sabit hoga aur agar da ghat raha hai yah bahut hi kharab ho sakta hai iske liye aap ko apne blog ki da ko badhane ki jyada jarurat hai par kaise chalyea jante hain.
Blog a Domain Authority ko kaise improve karen?
Apne blog ke Domain Authority ko badhana ka sidha matlab hai ki search engine par hai rang pane ke asar ko badhana. Domain Authority ko badhane ke liye sabse jyada faydemand sabit hota hai wah link jo aap ke site par use site se aa rahi hoti hai jiska da rank accha aur jyada hota hai. Isiliye ek blogger ko jyada dhyan link building par dena chahie. Niche diye gaye. Ko follow kar apne blog kda ko improve kar sakte hain
1. Link building kare- Link building karna ba badhane ke a piche ka bahut bada karan hai jitna ho sake utna backlink pane ki koshish kijiye aur ek chij ka dhyan rakhte hue karen ki hua sabhi link aapka quality side se prapt ho. Agar aapko low qualitylink website se milega to apka da ko badhane mein bahut waqt lag jayega.
2. Interlinking majbut kare- Interlinking ka matlab hota hai apne blog ke page ko dusre page ke sath link karna. Jab bhi aap apne blog par naya article post karenge yaad rahe ki har post aapke blog ko 2 - 3 dusre purane post jiska google search engine ke page par hiring ho gaya hai uske sath link bana kar rahe. Aisa karne se link juice purane post se naye post mein paas hota hai aur use post par jyada visitor aane ke chances badh jaate hain. Jisse da badhane mein bhi chance badh jata hai.
3 Comment Kare- Apne Blog ke niche se related dusre blog ya forum par comment karen, aisa karne se hamein dofollow backlink milta hai jisse ki dusre blog aur forums par aane wale reader's aapke blog mein bhi aana shuru kar dete hain is dheere dheere aap ke blog ki popularity badhegi aur uske sath hi da apne aap ko badhane lagegi.
4. Website Ke Khulne Ki Prakriya Ko Badhaye- Aap Ki website browser mein jitna jaldi khulega utni hi jyada visitor's aap ke side mein aana pasand karenge. Google ke search engine page par bhi wahi website ko hi ranking milati hai jisse siteco load hone mein jyada samay nahi lagta. Isliye ek blogger ko apne site ke load time par dhyan dena bahut hi jaruri hota hai.
5. Social Media Marketing- Social media hamare site ko content ko rang karne mein bhi bahut hi faydemand hota hai. Social media se hamein referral traffic milta hai aur site ki brand value bhi badhta hai. Yeah sabse accha tarika hai apne website ko Google page par rank karane ka aur apne knowledge ko jyada se jyada audience tak pahunch ne ka. Jitne jyada log aap ke article ko pasand karenge itne hi jyada aapke fan followers badhenge. Aur iss ka sidha asar aapke Domain Authority par bhi padega.
Conclusion :
Mujhe aasha hai ki aapko samajh mein aa gaya hoga what is Domain Authority in hindi main yahan jitne bhi points ke bare mein bataya hai woh sabhi chij, ek quality blog mein hote hain aapke blog ka quality jitna achha hoga iska Domain Authority bhi utna hi behtar hoga agar aap abhitak apne da par dhyan nahin diya hai toh ab dhyan dena shuru kar dijiye uppar bataye gaye points ko follow kijiye aur fir dekhyea aapko kitna fayda hota hai.
0 Comments