Netflix Kiya Hai Isko Kaise Use Kare
Aaj ke samay mein pure duniya bhar mein 200 million se jyada paid subscriber hai Netflix ke vah bhi kareeb 190 se bhi jyada deshon ke. Vahi yah Netflix service main aapko ek wide range ki TV series documentaries aur features film dekhne ko milegi vah bhi kafi jyada alag alag generes aur language is mein.
Kyon Netflix ko Netflix Kaha jata hai
Aap aap mein se aise bahut se log honge jinke man mein yah sawal jarur saya hoga ki aakhir Netflix ka naam Netflix kyon rakha gaya hai. Vaise aapko main yah bata dena chahta hun ki Netflix asal mein combination hota hai "net"(jo ki ek comma estamal kiya jane wala abbreviations hai internet ka) aur "Flix" (jo ki ek comma abbreviation hai "flicks" ka jiska matlab hota hai film, esse slang ke tour bhi istemal kiya jata hai ek movie yeah film ke liye. Netflix ki shuruaat august 1997 mein 2 serial entrepreneurs Mac Ramdoalp aur Reed hasting ke dwara ki gai thi.Netflix ka istemal kaise karen
Netflix service ka istemal karne ke liye aapko sabse pahle ismein Netflix account banana hota hai vahi aap ismein free account banakar Netflix ka anand ek mahine ke liye kar sakte hain. Ab chaliye jante hain ki kaise aap Netflix ka istemal karen. Ismein aap apne liye sahi kare gori ka chunav kar sakte hain film, movie, serial ka maja utha sakte hai.1. Home
Netflix app ko open karte hi aapko ismein homepage dikhai padega vahin aap chahe tu home per click kar bhi homepage mein bhi ja sakte hain wohi is homepage per aapko recent, popular, aur bahut si alag alag category ke hisab se film yah TV program ki list dekhne ko mil jayegi.
2. Series
Yahan per aapko sabhi maujud series ki list dikhai padegi. Vahin aapke desh ke hisab se aap ismein series ka selection kar sakte hain vahi jis bhi series ko aap dekhna chahe use per click kar play kar sakte hain. Sach mein yah bahut hi aasani se kiya ja sakta hai.
3. Film
Es section mein aap Hindi, English ya anya Di gai bhasha mein yah hollywood bollywood ke alava bahut se sambandhit category ke kafi sari related film dekh sakte hain
4. Recently Add
Yadi aapko har din kuch naya dekhna pasand hai tab aise mein aap aisa kar sakte hain wohi Netflix mein ek feature aisa bhi hai jismein aapko recently add kiye gaye naye program ya film ko dekhne ko milta hai. Dhyan de ki hamesha aapko Netflix mein kuchh naya jarur se dekhne ko milta hai use aap recently add per jakar dekh sakte hain.
5. My List
Yadi aapko koi series pasand hai ya koi film ki pratigya aap kar rahe hain tab unhen aap my site list mein add kar sakte hain. Yadi aap Kisi program ya film ko add karna chahe to aapko film ke poster mein mouse koursar le Jana Hoga iske bad aapko yahan per ek poster highlights hoga vahi aapko right side kuchh button dikhai padega jismein , like, dislike aur ek plus ka button bhi so hoga.
Yadi aapko koi video ya series ko is list mein add karna hoga tab aapko plus button per click karna hoga, aur aapki video mein list mein add ho jayegi apne aap hi.
6. Search
yahan Netflix ke app mein aapko search ka button bhi milta hai jismein aap apne manpasand film yah program ko aasani se khoj sakte hain aur unhen lekar dekh sakte hain.
7. Manage account,logout and profile
Baki app ke tarah hi aapko ismein bhi apne Netflix account, profile ko manager apne account ko signout karna chahte ho to aise yahan right side down arrow so hoga jis per click karne per aapko samajh mein inki sabhi setting a jaati hai.
Netflix app istemal karne per yah kitni internet data ka istemal karti hai.
Bahut se logon ko lagta hoga ki vah Netflix ka istemal isliye nahin kar sakte hain kyuki Netflix mein kafi jyada data ka istemal hota hai. Vahi aapko main bata dena chahta hun ki yah nirbhar karta hai aap kisi prakar ki mobile ya device ka istemal karte hain aur aap kis prakar ki internet plan ka istemal karte hain. Vahin aap data consumptions ko adjust bhi kar sakte hain.Chaliye ab jante Hain ki asal mein Netflix kitni data ka istemal karti hai, yah nirbhar karta
1. Low: Basic video quality karib 0.3 data per hour istamaal karti hai.
2. Medium: Standard video quality karib 0.7 GB data per hour istamaal karti hai.
3. High: Best video quality karib 3 GB ki data per hour istamaal karti hai HD ke liye aur 7 GB ki data per hour ultra HD ke liye..
4. Automatic: Quality ko nirdharit ki jati hai apke connection ke hishab se.
5. Unlimited: Esme apko sabse highest quality ki video dekhne ko milti hai jitni ki apki device me show ho sakti hai
Aaj apne kiya sikha
Mujhe ummid hai ki aapko meri yah article Netflix kya hai what is Netflix in hindi jarur pasand aaye hogi. Meri hamesha se yahi koshish rahti hai ki readers ko Netflix meaning ine hindi ke vishay mein puri jankari pradan ki jaaye jisse unhen kisi dusre side se internet mein use article ke sandrbh mein khojne ki jarurat nahin hai.
Isse unki samay ki bachat bhi hogi aur ek hi jagah mein unhen sabhi information bhi mil jayegi. yadi aapke man mein is artical ko lekar koi bhi doubt hai yah aap chahte hain ki ismein kuchh sudhar hona chahie tab iske liye aap niche comment likh sakte hain.
Yadi aapko yah post Netflix kya hai ine hindi aur iska account kaise banaya jata hai pasand aaya ya kuchh sikhane ko mila tab is post ko apne social media platform per jarur share karen. Thank you for reading
0 Comments