Whatsapp Fingerprint Lock Kiya hai

Whatsapp Fingerprint Lock Kiya hai 





Jaisa ki aap sabhi ko malum hai WhatsApp duniya ki number 1 chatting application hai jiska istamal aaj ke time me har koi karta hai. Aur WhatsApp bhi apni application ke aandar kuch new update deta rahata hai taaki uske users ko WhatsApp istamaal karne me jyada maja aaye. Bohut se features WhatsApp ke aandar moujud hai. Jinka istamaal aap sabhi loog jarur karte honge aab haal me WhatsApp ne apni application ke aandar security se jude update diya hai. Jiska istamaal karne ke baad aap apne WhatsApp ki chatting kocaur bahetreen tarike se safe rakh sakte hai.



Kiya ap Whatsapp par Fingereprint unlock features Active karna chahate hai ya fir aap aapne whatsapp par fingerprint lock lagane chahate hai. Whatsapp ne apne Applicationke aandar diya hai. toh chalyea puri jankari prapt karne ke liye shuru karte hai apna aaj ka yah article jiska naam hai. Whatsapp Fingerprint unlock Features ki jankari hindi me.


WhatsApp fingerprint feature launch date

Lunch ho gaya hai per iska istemal abhi sabhi users nahin kar sakte hain filhal ye iphone users ke liye uplabdh hai Android user ke liye abhi esse rollout nahin kiya gaya hai ummid hai bahut jald kar diya jaega han Android beta version per spot jarur Kiya gaya hai. User other user agar Android beta version per is feature ko shuru karna chahte hain to hamari yah di hui step ko aasani Seva shuru kar sakte hain chaliye niche mein main detail main batata hun jaise hi Android user ke liye koi date aati hai to is post ko ham update kar denge.

Iska process bhi koi hard nahi hai bahut hi aasan aur simple tarika hai aap enable kar sakte hain jaise aapko Whatsapp ke privacy mein order work karte hain usi tarah se bhi privacy section mein joda gaya hai ab privacy setting se ise enable disable kar sakte hain  chaliye main batata hun.


1. WhatsApp setting per click Karen, vaise  batana nahin chahie, bahut iji option hai aap roj istemal karte hain fir bhi bata raha hun, WhatsApp per upar right side mein 3 dot hoga vahan click karne ke bad aapko WhatsApp setting ka option mil jaega.

2. Uske bad aap account option per click karen.

3. Fir aap privacy option mein click karen.

4. Abb aap ko fingerprint ka option dikhega vahan se aap log ki unlock kar sakte hain.


Note:  Jis tarah phone mein automatic lock hota hai, usi tarah aap WhatsApp mein bhi automatic lock laga sakte hain, agar aap aap jaise phone mein ek minut ka time set kar dete hain to ek minut tak phone ke sath koi bhi chhedchhad nahin ki to automatic 1 minut bad phone aapka lock ho jaega, yah theek usi tarah aap WhatsApp mein ek minut 10 minut aur 30 minut ka option diya gaya hai aise karke set kar sakte hain aap


Whatsapp Fingerprint Unlock Features Ki Jankari Hindi Me


Whatsapp ne jo apna new update diya hai wo hai WhatsApp fingerprint unlock features. Yah ek aaisa features hai jiska istamaal karke aap apne WhatsApp par fingerprint lock laga sakte hai. Pahele Fingerprint unlock features istamaal karne ke liye hame loog kisi third party application ka istamaal karte thea aur jaruri nahi tha ki third party application sabhi ke mobile par thik tarike se kaam karti ho. Third party application kisi kisi ke mobile par hee sahi tarike se kaam karti hai. Lekin whatsapp ko istamaal karne wale adhiktaar users ess fingureprint feature ka istamaal karna chahate thea, taaki wo apne whatsapp chatting ko aur bhi bahetreen tarike se safe rakh sake.




Abb baat aati hai ki aakhir ess whatsapp fingerprint unlock features ko kaise use kare kaise chalu kare toh main aap sabhi ko batana chaunga agar aap ess features ko shuru karna chahate hai to yah features apko whatsapp setting ke aandar apko dekhai  dega. Yah features kisi tarah enable kiya jata hai esse jude ek video mene apne channel par upload kiya hai jisse aap yaha click kar ke dekh sakte hai . mere dwara diye gaye video dekhne ke baad aap apni sabhi loog es whatsapp fingerprint unlock features ko istamaal kar payenge.


WhatsApp fingerprint Kam nahin kar raha hai kya Karen?

Kai bar aisa hota hai hamara finger Kam nahin karta hai yah hamare finger mein gandgi laga hota hai anybody koi bhi is ho sakta hai hamare finger na kam karne ki, ki tu aisi situation mein hamen apne WhatsApp fingerprint lock ko kaise kholenge vah bataenge  chaliye jante hain fingerprint kam nahin karne per WhatsApp fingerprint lock kaise kholen.


Agar aapka finger nahin kam kar raha tha aapko pareshan hone ki jarurat bilkul bhi nahin hai, Aap apne smart phone ke password se ap apna whatsapp fingerprint ko khol sakte hai, yah features aap lock se alag hoga aur pura app ko protect karega.



Hello doston kaisa laga hamara yah post aap hamen niche comment box mein bataiye, agar aapko hamara post pasand aaya to isase aap social media per share jarur karen. Thanks For Reading

Post a Comment

0 Comments